hum kar chuke jab nur se tamir KHuda ki
ham kar chuke jab nuur se ta.amīr ḳhudā kī
phir chāroñ taraf ḳhuub kī tash.hīr ḳhudā kī
duniyā huī ābād magar vo rahā tanhā
majbūr hai kyā kījiye taqdīr ḳhudā kī
dekhe na sune baat jo ushshāq kī apne
is but meñ nazar aatī hai tasvīr ḳhudā kī
mullā ne rivāyāt-o-hikāyāt baḌhā.īñ
tafsīr meñ gum ho ga.ī tahrīr ḳhudā kī
yak-jān hue ādam-o-iblīs ke aage
aksar nahīñ chaltī koī tadbīr ḳhudā kī
hum kar chuke jab nur se tamir KHuda ki
phir chaaron taraf KHub ki tashhir KHuda ki
duniya hui aabaad magar wo raha tanha
majbur hai kya kijiye taqdir KHuda ki
dekhe na sune baat jo ushshaq ki apne
is but mein nazar aati hai taswir KHuda ki
mulla ne riwayat-o-hikayat baDhain
tafsir mein gum ho gai tahrir KHuda ki
yak-jaan hue aadam-o-iblis ke aage
aksar nahin chalti koi tadbir KHuda ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.