hum KHak-nashinon ko rahat ka ujala de
ham ḳhāk-nashīnoñ ko rāhat kā ujālā de
kab ham ne kahā tujh se sone kā nivālā de
rahne ko havelī hai shohrat bhī milī lekin
kirdār bhī kuchh tujh ko allāh-ta.ālā de
ab aisī mohabbat se dil kaun lagātā hai
jo zaḳhm jigar meñ de aur paañv meñ chhālā de
kyā uTh ga.ī duniyā se har rasm-e-vafā yā rab
kahtā hai ye dīvāna ik chāhne vaalā de
ai yaar mirī chāhat aur zarf ko kyā jaane
pī luuñ tire hāthoñ se gar zahr kā pyālā de
apnā ho ki dushman ho ye 'tāj' na dekhā kar
har shaḳhs ko ḳhush ho kar aḳhlāq nirālā de
hum KHak-nashinon ko rahat ka ujala de
kab hum ne kaha tujh se sone ka niwala de
rahne ko haweli hai shohrat bhi mili lekin
kirdar bhi kuchh tujh ko allah-taala de
ab aisi mohabbat se dil kaun lagata hai
jo zaKHm jigar mein de aur panw mein chhaala de
kya uTh gai duniya se har rasm-e-wafa ya rab
kahta hai ye diwana ek chahne wala de
ai yar meri chahat aur zarf ko kya jaane
pi lun tere hathon se gar zahr ka pyala de
apna ho ki dushman ho ye 'taj' na dekha kar
har shaKHs ko KHush ho kar aKHlaq nirala de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.