hum kitne diwane the jo humne tujhko phul kaha
ham kitne dīvāne the jo ham ne tujh ko phuul kahā
phūloñ ne to ḳhud ko har-dam tere paañv kī dhuul kahā
tujh se to kuchh kah na sake ham par tujh ko itnā chāhā
jo terā ḳhat le kar aaya ham ne use rasūl kahā
ham ko apnī jaan to itnī thī hī nahīñ aziiz kabhī
jānāñ tum ko jaan to ham ne bas hasb-e-ma.amūl kahā
sab ne ḳhudā ke paḌhe qasīde dhan daulat duniyā māñgī
ham to mast qalandar haiñ so ham ne ūl-julūl kahā
jab tak tum the saath hameñ ye duniyā chandan kahtī thī
tum jo ga.e to hameñ jahāñ ne kīkar niim babūl kahā
merā aur zamāne kā bas itnā hī to jhagḌā hai
sab ġhalatī kahte haiñ jis ko maiñ ne use usuul kahā
har Thokar se chalnā sīkhā har dhoke se liyā sabaq
to kyā ġhalat kahā jo ham ne yāroñ ko schōl kahā
ham ko rusvā kar ke us ne shohrat ḳhuub kamā.ī hai
ham us ke bhī kaam aa.e haiñ jis ne hameñ fuzūl kahā
ham kitne bhī ġhalat the lekin lafz hamesha chune sahīh
ḳhud ko nā-māqūl bhī ham ne agar kahā ma.aqūl kahā
hum kitne diwane the jo hum ne tujh ko phul kaha
phulon ne to KHud ko har-dam tere panw ki dhul kaha
tujh se to kuchh kah na sake hum par tujh ko itna chaha
jo tera KHat le kar aaya hum ne use rasul kaha
hum ko apni jaan to itni thi hi nahin aziz kabhi
jaanan tum ko jaan to hum ne bas hasb-e-mamul kaha
sab ne KHuda ke paDhe qaside dhan daulat duniya mangi
hum to mast qalandar hain so hum ne ul-julul kaha
jab tak tum the sath hamein ye duniya chandan kahti thi
tum jo gae to hamein jahan ne kikar nim babul kaha
mera aur zamane ka bas itna hi to jhagDa hai
sab ghalati kahte hain jis ko main ne use usul kaha
har Thokar se chalna sikha har dhoke se liya sabaq
to kya ghalat kaha jo hum ne yaron ko school kaha
hum ko ruswa kar ke us ne shohrat KHub kamai hai
hum us ke bhi kaam aae hain jis ne hamein fuzul kaha
hum kitne bhi ghalat the lekin lafz hamesha chune sahih
KHud ko na-maqul bhi hum ne agar kaha maqul kaha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.