hum ko aisa guman hone laga
ham ko aisā gumān hone lagā
vaqt kuchh mehrbān hone lagā
dil meñ kis kā ḳhayāl aayā hai
ḳhushbū ḳhushbū makān hone lagā
us ne zulfeñ bikher diiñ apnī
bādaloñ kā gumān hone lagā
phir kabūtar uḌaa.e haiñ us ne
phir lo amn-o-amān hone lagā
un kī nazreñ badal ga.iiñ shāyad
vaqt nā-mehrbān hone lagā
phir vo rūThā hai chāñd sā chehra
phir mirā imtihān hone lagā
dil nahīñ hai dimāġh ke taabe
muntashir ḳhāndān hone lagā
umr kā kaun sā paḌāv hai ye
jism jarjar makān hone lagā
ab zamīñ par qadam nahīñ Tikte
qad mirā āsmān hone lagā
koī qīmat nahīñ hai īmāñ kī
ye bhī muflis kī jaan hone lagā
aa ga.e din chhaḌī pakaḌne ke
merā beTā javān hone lagā
jab se saayā uThā buzurgoñ kā
sar se gum sā.ebān hone lagā
ruuh uktā ga.ī badan se 'suhaib'
jism jab se kamān hone lagā
hum ko aisa guman hone laga
waqt kuchh mehrban hone laga
dil mein kis ka KHayal aaya hai
KHushbu KHushbu makan hone laga
us ne zulfen bikher din apni
baadalon ka guman hone laga
phir kabutar uDae hain us ne
phir lo amn-o-aman hone laga
un ki nazren badal gain shayad
waqt na-mehrban hone laga
phir wo ruTha hai chand sa chehra
phir mera imtihan hone laga
dil nahin hai dimagh ke tabe
muntashir KHandan hone laga
umr ka kaun sa paDaw hai ye
jism jarjar makan hone laga
ab zamin par qadam nahin Tikte
qad mera aasman hone laga
koi qimat nahin hai iman ki
ye bhi muflis ki jaan hone laga
aa gae din chhaDi pakaDne ke
mera beTa jawan hone laga
jab se saya uTha buzurgon ka
sar se gum saeban hone laga
ruh ukta gai badan se 'suhaib'
jism jab se kaman hone laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.