hum ko apni zindagi mein dard-e-kaamil chahiye
ham ko apnī zindagī meñ dard-e-kāmil chāhiye
har nafas ik shor-e-naġhmāt-e-salāsil chāhiye
zaḳhm-e-dil kā haal ham kis ko sunā.eñ dosto
aisī bāteñ sunñe vaalā ham sā ghā.il chāhiye
kal vahī ban jā.eñge yaaro hamāre chārāgar
aaj har lamha jinheñ ik raqs-e-bismil chāhiye
jis meñ raqsāñ ho ḳhushī vo dil mubārak ho tumheñ
nāzish-e-dard-o-alam ho ham ko vo dil chāhiye
ai 'niyāzī' kis tarah kar leñ qubūl āsāniyāñ
ham ko jiine ke liye har gaam mushkil chāhiye
hum ko apni zindagi mein dard-e-kaamil chahiye
har nafas ek shor-e-naghmat-e-salasil chahiye
zaKHm-e-dil ka haal hum kis ko sunaen dosto
aisi baaten sunne wala hum sa ghail chahiye
kal wahi ban jaenge yaro hamare chaaragar
aaj har lamha jinhen ek raqs-e-bismil chahiye
jis mein raqsan ho KHushi wo dil mubarak ho tumhein
nazish-e-dard-o-alam ho hum ko wo dil chahiye
ai 'niyazi' kis tarah kar len qubul aasaniyan
hum ko jine ke liye har gam mushkil chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.