hum ko bara-e-duniya be-jaan kar diya hai
ham ko barā-e-duniyā be-jān kar diyā hai
kyā ishq tū ne jiinā āsān kar diyā hai
phir ham ne rāste kā koī usuul toḌā
phir vaqt ne hamārā chālān kar diyā hai
siina phulā ke aise masjid se aa rahe haiñ
allāh-miyāñ pe jaise ehsān kar diyā hai
miTTī ko apnī miTTī paanī ko apnā paanī
sarmāya āb-o-gil kā sab daan kar diyā hai
tū ne hamāre faanī hone kī laaj rakh lī
āb-e-hayāt miTTī meñ saan kar diyā hai
sāhil kī bastiyoñ kā saarā ghamanD TuuTā
sailāb ne tamāñcha jab taan kar diyā hai
sūkhe laboñ pe us ne Tapkāyā āb-e-bosa
aur vo bhī apne hoñThoñ se chhān kar diyā hai
tum soch meñ paḌe ho to sochte raho tum
ham ne to ishq apnā elaan kar diyā hai
ham ne to zaḳhm apne likh likh ke rakh liye the
yāroñ ne jam.a kar ke dīvān kar diyā hai
ham chāhte the apnā karnā use to us ne
ham ko hī apne ghar kā darbān kar diyā hai
duniyā ne kuchh na chhoḌā juz ek 'farhat-ehsās'
har ek farhat-ullāh ko ḳhaan kar diyā hai
hum ko bara-e-duniya be-jaan kar diya hai
kya ishq tu ne jina aasan kar diya hai
phir hum ne raste ka koi usul toDa
phir waqt ne hamara chaalan kar diya hai
sina phula ke aise masjid se aa rahe hain
allah-miyan pe jaise ehsan kar diya hai
miTTi ko apni miTTi pani ko apna pani
sarmaya aab-o-gil ka sab dan kar diya hai
tu ne hamare fani hone ki laj rakh li
aab-e-hayat miTTi mein san kar diya hai
sahil ki bastiyon ka sara ghamanD TuTa
sailab ne tamancha jab tan kar diya hai
sukhe labon pe us ne Tapkaya aab-e-bosa
aur wo bhi apne honThon se chhan kar diya hai
tum soch mein paDe ho to sochte raho tum
hum ne to ishq apna elan kar diya hai
hum ne to zaKHm apne likh likh ke rakh liye the
yaron ne jama kar ke diwan kar diya hai
hum chahte the apna karna use to us ne
hum ko hi apne ghar ka darban kar diya hai
duniya ne kuchh na chhoDa juz ek 'farhat-ehsas'
har ek farhat-ullah ko KHan kar diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.