hum ko hua tha ishq jawani mein muKHtasar
ham ko huā thā 'ishq javānī meñ muḳhtasar
kirdār thā hamārā kahānī meñ muḳhtasar
mat pūchh raat kitnī aziyyat-guzār thī
milnā thā us se shām-suhānī meñ muḳhtasar
tafsīlī guftugū kā thā mauzū' par vo shaḳhs
jo kah gayā hai baat ravānī meñ muḳhtasar
sūraj-mukhī kā phuul thā nārāz shaam tak
maiñ kho gayā thā raat kī raanī meñ muḳhtasar
bahrūp dostoñ kā 'ayāñ ham pe ho gayā
dekhā nishāna ham ne nishānī meñ muḳhtasar
ā'māl-e-nek-o-bad kī hameñ kyā ḳhabar miyāñ
ham rah rahe haiñ kūcha-e-fānī meñ muḳhtasar
ahvāl likh ke aap hameñ bhej dījiye
'ārif-nazīr' misra'-e-sānī meñ muḳhtasar
hum ko hua tha 'ishq jawani mein muKHtasar
kirdar tha hamara kahani mein muKHtasar
mat puchh raat kitni aziyyat-guzar thi
milna tha us se sham-suhani mein muKHtasar
tafsili guftugu ka tha mauzu' par wo shaKHs
jo kah gaya hai baat rawani mein muKHtasar
suraj-mukhi ka phul tha naraaz sham tak
main kho gaya tha raat ki rani mein muKHtasar
bahrup doston ka 'ayan hum pe ho gaya
dekha nishana hum ne nishani mein muKHtasar
aa'mal-e-nek-o-bad ki hamein kya KHabar miyan
hum rah rahe hain kucha-e-fani mein muKHtasar
ahwal likh ke aap hamein bhej dijiye
'arif-nazir' misra'-e-sani mein muKHtasar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.