hum ko KHanjar se na talwar se Dar lagta hai
ham ko ḳhanjar se na talvār se Dar lagtā hai
mere mahbūb tire pyaar se Dar lagtā hai
ḳhauf khāte haiñ hukūmat se zamāne vaale
aur hukūmat ko qalamkār se Dar lagtā hai
kis ko mazlūm batā de kise kah de zālim
aaj ke daur ke aḳhbār se Dar lagtā hai
ahmiyat jis kī nazar meñ na ho sachchā.ī kī
us shahanshāh ke darbār se Dar lagtā hai
raaz kī bāteñ kahīñ aam na kar de koī
ab to ghar ke dar-o-dīvār se Dar lagtā hai
hum ko KHanjar se na talwar se Dar lagta hai
mere mahbub tere pyar se Dar lagta hai
KHauf khate hain hukumat se zamane wale
aur hukumat ko qalamkar se Dar lagta hai
kis ko mazlum bata de kise kah de zalim
aaj ke daur ke aKHbar se Dar lagta hai
ahmiyat jis ki nazar mein na ho sachchai ki
us shahanshah ke darbar se Dar lagta hai
raaz ki baaten kahin aam na kar de koi
ab to ghar ke dar-o-diwar se Dar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.