hum ko teri taraf se ishaara nahin mila
ham ko tirī taraf se ishāra nahīñ milā
āñkheñ milīñ magar vo nazāra nahīñ milā
milne kī aarzū to rahī umr bhar mujhe
lekin mujhe vo shaḳhs dobāra nahīñ milā
ham ne safar tamām samundar meñ tai kiyā
afsos hai yahī ki kināra nahīñ milā
saude jahāñ hue ye usūl-o-zamīr ke
hargiz vahāñ nishān hamārā nahīñ milā
ġham kī tijāratoñ meñ munāfe.a rahā bahut
'hamza' hameñ kahīñ bhī ḳhasāra nahīñ milā
hum ko teri taraf se ishaara nahin mila
aankhen milin magar wo nazara nahin mila
milne ki aarzu to rahi umr bhar mujhe
lekin mujhe wo shaKHs dobara nahin mila
hum ne safar tamam samundar mein tai kiya
afsos hai yahi ki kinara nahin mila
saude jahan hue ye usul-o-zamir ke
hargiz wahan nishan hamara nahin mila
gham ki tijaraton mein munafea raha bahut
'hamza' hamein kahin bhi KHasara nahin mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.