hum ko to intizar-e-sahar bhi qubul hai
ham ko to intizār-e-sahar bhī qubūl hai
lekin shab-e-firāq tirā kyā usuul hai
ai māh-e-nīm-shab tirī raftār ke nisār
ye chāñdnī nahīñ tire qadmoñ kī dhuul hai
kāñTā hai vo ki jis ne chaman ko lahū diyā
ḳhūn-e-bahār jis ne piyā hai vo phuul hai
dekhā thā ahl-e-dil ne koī sarv-e-nau-bahār
dāman ulajh gayā to pukāre babūl hai
baaqī hai pau phaTe bhī sitāroñ kī raushnī
shāyad marīz-e-shab kī tabī.at malūl hai
jab mo'atabar nahīñ thā mirā ishq-e-bad-gumāñ
ab husn-e-ḳhud-farosh kā ronā fuzūl hai
luT kar samajh rahe haiñ ki nādim hai rāhzan
kitnī hasīn ahl-e-muravvat kī bhuul hai
hum ko to intizar-e-sahar bhi qubul hai
lekin shab-e-firaq tera kya usul hai
ai mah-e-nim-shab teri raftar ke nisar
ye chandni nahin tere qadmon ki dhul hai
kanTa hai wo ki jis ne chaman ko lahu diya
KHun-e-bahaar jis ne piya hai wo phul hai
dekha tha ahl-e-dil ne koi sarw-e-nau-bahaar
daman ulajh gaya to pukare babul hai
baqi hai pau phaTe bhi sitaron ki raushni
shayad mariz-e-shab ki tabiat malul hai
jab mo'atabar nahin tha mera ishq-e-bad-guman
ab husn-e-KHud-farosh ka rona fuzul hai
luT kar samajh rahe hain ki nadim hai rahzan
kitni hasin ahl-e-murawwat ki bhul hai
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 98)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.