hum ko tum sa mila nahin koi
ham ko tum sā milā nahīñ koī
ham ko bhī phir jachā nahīñ koī
us kā chehra hai phuul kī mānind
phuul aisā khilā nahīñ koī
duur tum ham se jā nahīñ sakte
is meñ ham ko shubah nahīñ koī
tum hamāre kisī tarah na hue
ḳhair tum se gila nahīñ koī
hum ko tum sa mila nahin koi
hum ko bhi phir jacha nahin koi
us ka chehra hai phul ki manind
phul aisa khila nahin koi
dur tum hum se ja nahin sakte
is mein hum ko shubah nahin koi
tum hamare kisi tarah na hue
KHair tum se gila nahin koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.