Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum ko yaad-e-yar mein hasil jo tanhai hui

Naseem Fatima Nazar lakhnavi

hum ko yaad-e-yar mein hasil jo tanhai hui

Naseem Fatima Nazar lakhnavi

MORE BYNaseem Fatima Nazar lakhnavi

    ham ko yād-e-yār meñ hāsil jo tanhā.ī huī

    TuuT kar barsī ghaTā jo dil pe thī chhā.ī huī

    zindagī jab se tirī merī shanāsā.ī huī

    tamāshā ban ga.ī aur maiñ tamāshā.ī huī

    ā.eñge sāvan meñ sājan le ke aa.ī hai naved

    be-vaj.h phirtī nahīñ purvā.ī baurā.ī huī

    aap itnā to samajhne kabhī zahmat kareñ

    aap bhī merī rusvā.ī se rusvā.ī huī

    jaag uTThe aaj lo phir ishq ke so.e nasīb

    zindagī phir aaj us but tamannā.ī huī

    chhup ga.e haiñ māh-o-anjum har taraf hai ḳhāmushī

    aa bhī ai yād-e-rafta ab to tanhā.ī huī

    is qadar mazbūt hai ā.īn-e-ulfat giraft

    kah nahīñ paatī zabāñ par baat bhī aa.ī huī

    raat aa.e to na jaane kis tarah guzre 'nazar'

    hai tabī.at shaam se aaj ghabrā.ī huī

    hum ko yaad-e-yar mein hasil jo tanhai hui

    TuT kar barsi ghaTa jo dil pe thi chhai hui

    zindagi jab se teri meri shanasai hui

    tu tamasha ban gai aur main tamashai hui

    aaenge sawan mein sajan le ke aai hai nawed

    be-wajh phirti nahin purwai baurai hui

    aap itna to samajhne ki kabhi zahmat karen

    aap ki bhi meri ruswai se ruswai hui

    jag uTThe aaj lo phir ishq ke soe nasib

    zindagi phir aaj us but ki tamannai hui

    chhup gae hain mah-o-anjum har taraf hai KHamushi

    aa bhi ja ai yaad-e-rafta ab to tanhai hui

    is qadar mazbut hai aain-e-ulfat ki giraft

    kah nahin pati zaban par baat bhi aai hui

    raat aae to na jaane kis tarah guzre 'nazar'

    hai tabiat sham hi se aaj ghabrai hui

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now