hum kya jaanen qissa kya hai hum Thahre diwane log
ham kyā jāneñ qissa kyā hai ham Thahre dīvāne log
us bastī ke bāzāroñ meñ roz kaheñ afsāne log
yādoñ se bachnā mushkil hai un ko kaise samjhā.eñ
hijr ke is sahrā tak ham ko aate haiñ samjhāne log
kaun ye jaane dīvāne par kaisī saḳht guzartī hai
aapas meñ kuchh kah kar hañste haiñ jaane pahchāne log
phir sahrā se Dar lagtā hai phir shahroñ kī yaad aa.ī
phir shāyad aane vaale haiñ zanjīreñ pahnāne log
ham to dil kī vīrānī bhī dikhlāte sharmāte haiñ
ham ko dikhlāne aate haiñ zehnoñ ke vīrāne log
us mahfil meñ pyaas kī izzat karne vaalā hogā kaun
jis mahfil meñ toḌ rahe hoñ ā.ankhoñ se paimāne log
hum kya jaanen qissa kya hai hum Thahre diwane log
us basti ke bazaron mein roz kahen afsane log
yaadon se bachna mushkil hai un ko kaise samjhaen
hijr ke is sahra tak hum ko aate hain samjhane log
kaun ye jaane diwane par kaisi saKHt guzarti hai
aapas mein kuchh kah kar hanste hain jaane pahchane log
phir sahra se Dar lagta hai phir shahron ki yaad aai
phir shayad aane wale hain zanjiren pahnane log
hum to dil ki virani bhi dikhlate sharmate hain
hum ko dikhlane aate hain zehnon ke virane log
us mahfil mein pyas ki izzat karne wala hoga kaun
jis mahfil mein toD rahe hon aaankhon se paimane log
- Book : ajnabi-shahr-ajnabi-raaste(rekhta website) (Pg. 167)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.