hum log is ummid mein ghar se nikal aae
ham log is ummīd meñ ghar se nikal aa.e
sūrat koī mumkin hai safar se nikal aa.e
ik raushnī aaseb sī phirtī hai sar-e-dasht
saaya sā koī phir na shajar se nikal aa.e
kuchh der yahāñ dekh hī lete haiñ Thahar kar
shāyad vo isī rāhguzar se nikal aa.e
hum log is ummid mein ghar se nikal aae
surat koi mumkin hai safar se nikal aae
ek raushni aaseb si phirti hai sar-e-dasht
saya sa koi phir na shajar se nikal aae
kuchh der yahan dekh hi lete hain Thahar kar
shayad wo isi rahguzar se nikal aae
- Book : غبار حیرانی (Pg. 125)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.