hum mein bhi aur unhon mein pahle jo yariyan thin

hum mein bhi aur unhon mein pahle jo yariyan thin
Nazeer Akbarabadi
MORE BYNazeer Akbarabadi
ham meñ bhī aur unhoñ meñ pahle jo yāriyāñ thiiñ
donoñ diloñ meñ kyā kyā ummīdvāriyāñ thiiñ
vo muntazir ki aaveñ ham pur-tapish ki jāveñ
is Dhab kī har do jānib be-iḳhtiyāriyāñ thiiñ
na zabt hai nigah kā na ruk sake nazāra
kyā shauq-varziyāñ thiiñ kyā be-qarāriyāñ thiiñ
uThne meñ baiThne meñ hañsne meñ bolne meñ
kuchh be-shu.ūriyāñ thiiñ kuchh hoshyāriyāñ thiiñ
jis jā 'nazīr' aa kar hotī haiñ ulfateñ to
vaañ aisī aisī kitnī ishrat-shi.āriyāñ thiiñ
hum mein bhi aur unhon mein pahle jo yariyan thin
donon dilon mein kya kya ummidwariyan thin
wo muntazir ki aawen hum pur-tapish ki jawen
is Dhab ki har do jaanib be-iKHtiyariyan thin
na zabt hai nigah ka na ruk sake nazara
kya shauq-warziyan thin kya be-qarariyan thin
uThne mein baiThne mein hansne mein bolne mein
kuchh be-shuuriyan thin kuchh hoshyariyan thin
jis ja 'nazir' aa kar hoti hain ulfaten to
wan aisi aisi kitni ishrat-shiariyan thin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.