hum musafir yunhi masruf-e-safar jaenge
ham musāfir yūñhī masrūf-e-safar jā.eñge
be-nishāñ ho ga.e jab shahr to ghar jā.eñge
kis qadar hogā yahāñ mehr-o-vafā kā mātam
ham tirī yaad se jis roz utar jā.eñge
jauharī band kiye jaate haiñ bāzār-e-suḳhan
ham kise bechne almās-o-guhar jā.eñge
nemat-e-zīst kā ye qarz chukegā kaise
laakh ghabrā ke ye kahte raheñ mar jā.eñge
shāyad apnā bhī koī bait hudī-ḳhvāñ ban kar
saath jā.egā mire yaar jidhar jā.eñge
'faiz' aate haiñ rah-e-ishq meñ jo saḳht maqām
aane vāloñ se kaho ham to guzar jā.eñge
hum musafir yunhi masruf-e-safar jaenge
be-nishan ho gae jab shahr to ghar jaenge
kis qadar hoga yahan mehr-o-wafa ka matam
hum teri yaad se jis roz utar jaenge
jauhari band kiye jate hain bazar-e-suKHan
hum kise bechne almas-o-guhar jaenge
nemat-e-zist ka ye qarz chukega kaise
lakh ghabra ke ye kahte rahen mar jaenge
shayad apna bhi koi bait hudi-KHwan ban kar
sath jaega mere yar jidhar jaenge
'faiz' aate hain rah-e-ishq mein jo saKHt maqam
aane walon se kaho hum to guzar jaenge
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 709)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.