hum na duniya ke hain na din ke hain
ham na duniyā ke haiñ na diiñ ke haiñ
ham to ik zulf-e-ambarīñ ke haiñ
shīsha-o-mai se be-niyāz haiñ ham
mast us chashm-e-surmagīñ ke haiñ
rañg ho raushnī ho yā ḳhushbū
sab meñ partav usī hasīñ ke haiñ
chashm-e-be-ḳhvāb dāman-e-gulgūñ
sab karishme usī zahīñ ke haiñ
haiñ makīñ qarya-e-mohabbat ke
āsmāñ ke na ham zamīñ ke haiñ
aa.e the shahr-e-husn meñ ik din
aur ik umr se yahīñ ke haiñ
āyateñ haiñ hamārī qismat kī
ye jo chitvan tirī jabīñ ke haiñ
zulmat-e-shām-e-hijr se 'imrran'
tazkire ek mah-jabīñ ke haiñ
hum na duniya ke hain na din ke hain
hum to ek zulf-e-ambarin ke hain
shisha-o-mai se be-niyaz hain hum
mast us chashm-e-surmagin ke hain
rang ho raushni ho ya KHushbu
sab mein partaw usi hasin ke hain
chashm-e-be-KHwab daman-e-gulgun
sab karishme usi zahin ke hain
hain makin qarya-e-mohabbat ke
aasman ke na hum zamin ke hain
aae the shahr-e-husn mein ek din
aur ek umr se yahin ke hain
aayaten hain hamari qismat ki
ye jo chitwan teri jabin ke hain
zulmat-e-sham-e-hijr se 'imrran'
tazkire ek mah-jabin ke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.