hum nae hain na hai ye kahani nai
ham na.e haiñ na hai ye kahānī na.ī
saath shartoñ ke hai zindagānī na.ī
kyā gañvā kar milī bahs ye hai fuzūl
āḳhirash mil ga.ī kāmrānī na.ī
bad-mizājī pe mausam kī hairān huuñ
kyuuñ hai dariyāoñ meñ ye ravānī na.ī
chashm-poshī masā.il kī hai is tarah
us ne bātoñ se kī gul-fishānī na.ī
gāmzan dil safar par to sākit qadam
chheḌ dī phir unhoñ ne kahānī na.ī
us kī ḳhushbū meñ shāmil hai terī mahak
aaj laa.ī ḳhabar rāt-rānī na.ī
kis kī chāhat kī tāsīr hai, vaqt ne
us ke paikar meñ rakh dī javānī na.ī
thī lachak jab talak ziist apnī rahī
raas aa.ī na ye saḳht-jānī na.ī
ḳhāmushī se hī un kī chaman jal gayā
hukmarānoñ kī hai pāsbānī na.ī
phūTne ko thī ummīd kī ik kiran
ho ga.ī phir un kī mehrbānī na.ī
baḌhte qadmoñ ko phir se ThiThaknā paḌā
aa.ī phir darmiyāñ bad-gumānī na.ī
vādi-e-gul se mausam kā sautelā-pan
us ke dariyā meñ kyuuñ hai ravānī na.ī
quvvateñ saarī goyā.ī par haiñ muhīt
haiñ zabāneñ vahī lan-tarānī na.ī
saath laa.ī na.e ġham na.ī uljhaneñ
ab nahīñ chāhiye shādmānī na.ī
tāliyāñ har taraf thiiñ ki jab us ne kī
be-zabānī se hī lan-tarānī na.ī
jis ko agle bhī pal kā bharosa nahīñ
us ko bhī chāhiye shādmānī na.ī
aisā lagtā hai 'ḳhālid'-miyāñ chāhiye
is zamīñ ke liye jāñ-fishānī na.ī
hum nae hain na hai ye kahani nai
sath sharton ke hai zindagani nai
kya ganwa kar mili bahs ye hai fuzul
aaKHirash mil gai kaamrani nai
bad-mizaji pe mausam ki hairan hun
kyun hai dariyaon mein ye rawani nai
chashm-poshi masail ki hai is tarah
us ne baaton se ki gul-fishani nai
gamzan dil safar par to sakit qadam
chheD di phir unhon ne kahani nai
us ki KHushbu mein shamil hai teri mahak
aaj lai KHabar raat-rani nai
kis ki chahat ki tasir hai, waqt ne
us ke paikar mein rakh di jawani nai
thi lachak jab talak zist apni rahi
ras aai na ye saKHt-jaani nai
KHamushi se hi un ki chaman jal gaya
hukmaranon ki hai pasbani nai
phuTne ko thi ummid ki ek kiran
ho gai phir un ki mehrbani nai
baDhte qadmon ko phir se ThiThakna paDa
aai phir darmiyan bad-gumani nai
wadi-e-gul se mausam ka sautela-pan
us ke dariya mein kyun hai rawani nai
quwwaten sari goyai par hain muhit
hain zabanen wahi lan-tarani nai
sath lai nae gham nai uljhanen
ab nahin chahiye shadmani nai
taliyan har taraf thin ki jab us ne ki
be-zabani se hi lan-tarani nai
jis ko agle bhi pal ka bharosa nahin
us ko bhi chahiye shadmani nai
aisa lagta hai 'KHalid'-miyan chahiye
is zamin ke liye jaan-fishani nai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.