hum nahin milte nahin milte hain hum sham ke baad
ham nahīñ milte nahīñ milte haiñ ham shaam ke ba.ad
phir bhī aa jaate haiñ kuchh ahl-e-karam shaam ke ba.ad
din vo zālim hai ki Dhātā hai sitam shaam ke ba.ad
baḌhtā jaatā hai mirā koh-e-alam shaam ke ba.ad
jaane lag jaate haiñ sab sū-e-haram shaam ke ba.ad
aur vahāñ phir se vahī jhūTī qasam shaam ke ba.ad
apnī yādoñ se ġham-e-shām kī chhuTTī rakkheñ
hone lag jaatī hai aañkh aur bhī nam shaam ke ba.ad
biivī bachchoñ kī hañsī asl kamā.ī hai mirī
bas yahī bachtī hai le de ke raqam shaam ke ba.ad
mai-kadā saare masā.il ko miTā detā hai
mas.ala diiñ kā vahāñ hai na dharam shaam ke ba.ad
din meñ to ḳhuub satā.ish kī sanad miltī hai
khulte jaate haiñ mire saare bharam shaam ke ba.ad
vo jo jaatā hai to mujh ko bhī liye jaatā hai
haa.e ho jaatā huuñ maiñ aur bhī kam shaam ke ba.ad
aaj kyā lenā hai kyā khānā hai 'abdul-qādir'
sar uThā.e hue phirte haiñ ye ġham shaam ke ba.ad
hum nahin milte nahin milte hain hum sham ke baad
phir bhi aa jate hain kuchh ahl-e-karam sham ke baad
din wo zalim hai ki Dhata hai sitam sham ke baad
baDhta jata hai mera koh-e-alam sham ke baad
jaane lag jate hain sab su-e-haram sham ke baad
aur wahan phir se wahi jhuTi qasam sham ke baad
apni yaadon se gham-e-sham ki chhuTTi rakkhen
hone lag jati hai aankh aur bhi nam sham ke baad
biwi bachchon ki hansi asl kamai hai meri
bas yahi bachti hai le de ke raqam sham ke baad
mai-kada sare masail ko miTa deta hai
masala din ka wahan hai na dharam sham ke baad
din mein to KHub sataish ki sanad milti hai
khulte jate hain mere sare bharam sham ke baad
wo jo jata hai to mujh ko bhi liye jata hai
hae ho jata hun main aur bhi kam sham ke baad
aaj kya lena hai kya khana hai 'abdul-qadir'
sar uThae hue phirte hain ye gham sham ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.