ham-nashin aisi koi tadbir honi chahiye
ham-nashīñ aisī koī tadbīr honī chāhiye
mere qabze meñ mirī taqdīr honī chāhiye
ḳhatm honā chāhiye ab qissa-e-dair-o-haram
ḳhānqāh-e-zindagī ta.amīr honī chāhiye
imtiyāz-e-kufr-o-īmāñ vaqt par ho jā.egā
dāvat-e-mai-ḳhāna ālamgīr honī chāhiye
aur baḌh jaa.eñ zarā tishna-labī kī talḳhiyāñ
daur-e-sāġhar meñ abhī tāḳhīr honī chāhiye
is tarah to nazm-e-ālam muntashir ho jā.egā
ḳhud-parastī qābil-e-tāzīr honī chāhiye
rahzan-e-īmāñ haiñ donoñ shaiḳh ho yā barhaman
in se bachne kī koī tadbīr honī chāhiye
markaz-e-husn-o-mohabbat matl.a-e-mehr-o-vafā
dil ke ā.īne meñ ik tasvīr honī chāhiye
tā-ba-kai ye lan-tarānī hoshiyār ai barq-e-tūr
ārzū-e-dīd kī tauqīr honī chāhiye
tā-ba-kai ye be-niyāzī ai harīfān-e-suḳhan
ab zabān-e-'rāz' ālamgīr honī chāhiye
ham-nashin aisi koi tadbir honi chahiye
mere qabze mein meri taqdir honi chahiye
KHatm hona chahiye ab qissa-e-dair-o-haram
KHanqah-e-zindagi tamir honi chahiye
imtiyaz-e-kufr-o-iman waqt par ho jaega
dawat-e-mai-KHana aalamgir honi chahiye
aur baDh jaen zara tishna-labi ki talKHiyan
daur-e-saghar mein abhi taKHir honi chahiye
is tarah to nazm-e-alam muntashir ho jaega
KHud-parasti qabil-e-tazir honi chahiye
rahzan-e-iman hain donon shaiKH ho ya barhaman
in se bachne ki koi tadbir honi chahiye
markaz-e-husn-o-mohabbat matla-e-mehr-o-wafa
dil ke aaine mein ek taswir honi chahiye
ta-ba-kai ye lan-tarani hoshiyar ai barq-e-tur
aarzu-e-did ki tauqir honi chahiye
ta-ba-kai ye be-niyazi ai harifan-e-suKHan
ab zaban-e-'raaz' aalamgir honi chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.