ham-nashin raat hai to raat bhi Dhal jaegi
ham-nashīñ raat hai to raat bhī Dhal jā.egī
sub.h-dam sūrat-e-hālāt badal jā.egī
hiddat-e-shauq salāmat hai to zanjīr-e-jafā
sūrat-e-sham.a kisī roz pighal jā.egī
un kā dam bharte ho to ġham na karo āḳhir-kār
un pe dam dene kī hasrat bhī nikal jā.egī
ham-safīro kabhī miTtī hai tamannā-e-bahār
ye kisī phuul kisī sho.ale meñ Dhal jā.egī
yahī behtar hai ki qurbān-e-vafā ho jaa.e
jaañ agar aaj na jā.egī to kal jā.egī
kis ko ma.alūm thā malbūs-e-sabā meñ sarsar
aa ke gulshan meñ shagūfoñ ko masal jā.egī
ab ke sāvan bhī agar abr na barsā 'aḳhtar'
jo kalī shāḳh pe niklegī vo jal jā.egī
ham-nashin raat hai to raat bhi Dhal jaegi
subh-dam surat-e-haalat badal jaegi
hiddat-e-shauq salamat hai to zanjir-e-jafa
surat-e-shama kisi roz pighal jaegi
un ka dam bharte ho to gham na karo aaKHir-kar
un pe dam dene ki hasrat bhi nikal jaegi
ham-safiro kabhi miTti hai tamanna-e-bahaar
ye kisi phul kisi shoale mein Dhal jaegi
yahi behtar hai ki qurban-e-wafa ho jae
jaan agar aaj na jaegi to kal jaegi
kis ko malum tha malbus-e-saba mein sarsar
aa ke gulshan mein shagufon ko masal jaegi
ab ke sawan bhi agar abr na barsa 'aKHtar'
jo kali shaKH pe niklegi wo jal jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.