ham-nashin teri shikayat se ji Darta hai
ham-nashīñ terī shikāyāt se jī Dartā hai
tere andāza-e-jazbāt se jī Dartā hai
ahd-e-māzī kī koī baat na dohrā ai dost
apne guzre hue lamhāt se jī Dartā hai
ab ke phir mujh se na ho rang-e-bahārāñ māyūs
apnī be-rañgī-e-jazbāt se jī Dartā hai
ai falak mujh pe to ehsān bahut haiñ tere
haañ magar terī rivāyāt se jī Dartā hai
bhar na deñ jazba-e-sāda meñ tamannā kā ye rang
apne rangīn ḳhayālāt se jī Dartā hai
jām-o-mīnā pe bhī pahre haiñ zabāñ par bhī muhr
mohtasib terī isī baat se jī Dartā hai
pahle ayyām basar hote the be-ḳhauf-o-ḳhatar
is zamāne meñ to din raat se jī Dartā hai
kal thā raftār-e-jahāñ se na badalne kā gila
ab badalte hue hālāt se jī Dartā hai
chauñk uTTheñ na sulā.e hue jazbāt 'nasīm'
kaale bādal bharī barsāt se jī Dartā hai
ham-nashin teri shikayat se ji Darta hai
tere andaza-e-jazbaat se ji Darta hai
ahd-e-mazi ki koi baat na dohra ai dost
apne guzre hue lamhat se ji Darta hai
ab ke phir mujh se na ho rang-e-bahaaran mayus
apni be-rangi-e-jazbaat se ji Darta hai
ai falak mujh pe to ehsan bahut hain tere
han magar teri riwayat se ji Darta hai
bhar na den jazba-e-sada mein tamanna ka ye rang
apne rangin KHayalat se ji Darta hai
jam-o-mina pe bhi pahre hain zaban par bhi muhr
mohtasib teri isi baat se ji Darta hai
pahle ayyam basar hote the be-KHauf-o-KHatar
is zamane mein to din raat se ji Darta hai
kal tha raftar-e-jahan se na badalne ka gila
ab badalte hue haalat se ji Darta hai
chaunk uTThen na sulae hue jazbaat 'nasim'
kale baadal bhari barsat se ji Darta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.