Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ham-nawa ham-nafas ham-zaban aaina

Mujeeb Parwaz

ham-nawa ham-nafas ham-zaban aaina

Mujeeb Parwaz

MORE BYMujeeb Parwaz

    ham-navā ham-nafas ham-zabāñ aa.ina

    is liye merā tarz-e-bayāñ aa.ina

    jā.eza apnā lete raho kyā patā

    ke rakh de koī kab kahāñ aa.ina

    sāf-goī meñ apnī misāl aap hai

    mat samjhiye ki hai be-zabāñ aa.ina

    chāhiye shauq se kaan bhar dījiye

    mujh se hogā nahīñ bad-gumāñ aa.ina

    lamha lamha tirī yaad meñ dam-ba-dam

    le rahā der se hichkiyāñ aa.ina

    haañ ba-fazl-e-ta.ālā haiñ 'parvāz' ke

    zehn-o-dil aa.ina jism-o-jāñ aa.ina

    ham-nawa ham-nafas ham-zaban aaina

    is liye mera tarz-e-bayan aaina

    jaeza apna lete raho kya pata

    la ke rakh de koi kab kahan aaina

    saf-goi mein apni misal aap hai

    mat samjhiye ki hai be-zaban aaina

    chahiye shauq se kan bhar dijiye

    mujh se hoga nahin bad-guman aaina

    lamha lamha teri yaad mein dam-ba-dam

    le raha der se hichkiyan aaina

    han ba-fazl-e-taala hain 'parwaz' ke

    zehn-o-dil aaina jism-o-jaan aaina

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now