ham-nazar aur ham-KHayal kahan
ham-nazar aur ham-KHayal kahan
Mansooruddin Quraishi Mansoor
MORE BYMansooruddin Quraishi Mansoor
ham-nazar aur ham-ḳhayāl kahāñ
asr-e-hāzir hai hasb-e-hāl kahāñ
sarhad-e-kā.enāt ke aage
zehn kā ab bichhā.ūñ jaal kahāñ
past aqdār kī fazā ho jab
koī paidā kare kamāl kahāñ
kyoñ na tanhā.ī ham kareñ mahsūs
ishq kā husn se visāl kahāñ
shauq se ab milā.eñ vo nazreñ
merī āñkhoñ meñ ab savāl kahāñ
ab ġham-e-yār saath hai mere
ab mirī zindagī vabāl kahāñ
ḳhair-o-shar kī bhalī kahī tum ne
darmiyāñ un ke infi.āl kahāñ
haq-navā.ī ke vāste 'mansūr'
mimbar-o-dār kā savāl kahāñ
ham-nazar aur ham-KHayal kahan
asr-e-hazir hai hasb-e-haal kahan
sarhad-e-kaenat ke aage
zehn ka ab bichhaun jal kahan
past aqdar ki faza ho jab
koi paida kare kamal kahan
kyon na tanhai hum karen mahsus
ishq ka husn se visal kahan
shauq se ab milaen wo nazren
meri aankhon mein ab sawal kahan
ab gham-e-yar sath hai mere
ab meri zindagi wabaal kahan
KHair-o-shar ki bhali kahi tum ne
darmiyan un ke infial kahan
haq-nawai ke waste 'mansur'
mimbar-o-dar ka sawal kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.