humne aadab-e-gham ka pas kiya
ham ne ādāb-e-ġham kā paas kiyā
naqd-e-jāñ ko ziyāñ qayās kyā
ziist ke tajrabāt kā ham ne
misl-e-ā.īna in.ikās kiyā
ḳhabar-e-āgahī ke parde meñ
umr bhar mātam-e-havās kiyā
tohmat-e-sho.ala-zabāñ le kar
sūrat-e-zaḳhm iltimās kiyā
kaise ik lafz meñ bayāñ kar duuñ
dil ko kis baat ne udaas kiyā
aa gayā jab salīqa-e-ta.mīr
qasr-e-hastī ko be-asās kyā
kyuuñ 'sahar' tum ne apne sahrā ko
mauj-e-dariyā se rū-shanās kiyā
hum ne aadab-e-gham ka pas kiya
naqd-e-jaan ko ziyan qayas kya
zist ke tajrabaat ka hum ne
misl-e-aina inikas kiya
KHabar-e-agahi ke parde mein
umr bhar matam-e-hawas kiya
tohmat-e-shoala-zaban le kar
surat-e-zaKHm iltimas kiya
kaise ek lafz mein bayan kar dun
dil ko kis baat ne udas kiya
aa gaya jab saliqa-e-tamir
qasr-e-hasti ko be-asas kya
kyun 'sahar' tum ne apne sahra ko
mauj-e-dariya se ru-shanas kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.