humne chaha use usi ke baghair
ham ne chāhā use usī ke baġhair
kaaT dī umr zindagī ke baġhair
aise bhī kuchh charāġh hote haiñ
jalte rahte haiñ raushnī ke baġhair
ho ga.e paar ham tasavvur meñ
naav chaltī rahī nadī ke baġhair
zabt kyā hai ye pochhiye ham se
muskurā.e haiñ ham ḳhushī ke baġhair
ghuT ke rah jā.egā akele meñ
aadmī kyā haiñ aadmī ke baġhair
hum ne chaha use usi ke baghair
kaT di umr zindagi ke baghair
aise bhi kuchh charagh hote hain
jalte rahte hain raushni ke baghair
ho gae par hum tasawwur mein
naw chalti rahi nadi ke baghair
zabt kya hai ye pochhiye hum se
muskurae hain hum KHushi ke baghair
ghuT ke rah jaega akele mein
aadmi kya hain aadmi ke baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.