humne hasraton ke dagh aansuon se dho liye
ham ne hasratoñ ke daaġh āñsuoñ se dho liye
aap kī ḳhushī huzūr boliye na boliye
kyā hasīn ḳhaar the jo mirī nigāh ne
sādgī se bārhā ruuh meñ chubho liye
mausam-e-bahār hai ambarīñ ḳhumār hai
kis kā intizār hai gesuoñ ko kholiye
zindagī kā rāsta kāTnā to thā 'adam'
jaag uTh to chal diye thak ga.e to so liye
hum ne hasraton ke dagh aansuon se dho liye
aap ki KHushi huzur boliye na boliye
kya hasin KHar the jo meri nigah ne
sadgi se barha ruh mein chubho liye
mausam-e-bahaar hai ambarin KHumar hai
kis ka intizar hai gesuon ko kholiye
zindagi ka rasta kaTna to tha 'adam'
jag uTh to chal diye thak gae to so liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.