humne kab chaha ki wo shaKHs hamara ho jae
ham ne kab chāhā ki vo shaḳhs hamārā ho jaa.e
itnā dikh jaa.e ki āñkhoñ kā guzāra ho jaa.e
ham jise paas biThā leñ vo bichhaḌ jaatā hai
tum jise haath lagā do vo tumhārā ho jaa.e
tum ko lagtā hai ki tum jiit ga.e ho mujh se
hai yahī baat to phir khel dubāra ho jaa.e
hai mohabbat bhī ajab tarz-e-tijārat ki yahāñ
har dukāñ-dār ye chāhe ki ḳhasāra ho jaa.e
hum ne kab chaha ki wo shaKHs hamara ho jae
itna dikh jae ki aankhon ka guzara ho jae
hum jise pas biTha len wo bichhaD jata hai
tum jise hath laga do wo tumhaara ho jae
tum ko lagta hai ki tum jit gae ho mujh se
hai yahi baat to phir khel dubara ho jae
hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijarat ki yahan
har dukan-dar ye chahe ki KHasara ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.