humne KHud ko kabhi bezar nahin hone diya
ham ne ḳhud ko kabhī bezār nahīñ hone diyā
apnī ummīd ko mismār nahīñ hone diyā
apne jazbāt kā iz.hār nahīñ hone diyā
zindagī ko kabhī aḳhbār nahīñ hone diyā
mushkileñ laakh milīñ raah meñ ham ko lekin
apne kirdār ko lāchār nahīñ hone diyā
ham ne nuqsān uThā kar bhī nibhā.e rishte
pyaar ke jazbe ko byopār nahīñ hone diyā
ham jo bistar pe paḌe kaun sañbhālegā hameñ
bas isī fikr ne bīmār nahīñ hone diyā
apne bachchoñ ko suhūlat kī har ik shai de kar
ham ne ḳhud un ko samajhdār nahīñ hone diyā
ḳhvāb dekhā thā kabhī ham ne bhī 'madhuman' koī
par muqaddar ne vo sākār nahīñ hone diyā
hum ne KHud ko kabhi bezar nahin hone diya
apni ummid ko mismar nahin hone diya
apne jazbaat ka izhaar nahin hone diya
zindagi ko kabhi aKHbar nahin hone diya
mushkilen lakh milin rah mein hum ko lekin
apne kirdar ko lachaar nahin hone diya
hum ne nuqsan uTha kar bhi nibhae rishte
pyar ke jazbe ko byopar nahin hone diya
hum jo bistar pe paDe kaun sanbhaalega hamein
bas isi fikr ne bimar nahin hone diya
apne bachchon ko suhulat ki har ek shai de kar
hum ne KHud un ko samajhdar nahin hone diya
KHwab dekha tha kabhi hum ne bhi 'madhuman' koi
par muqaddar ne wo sakar nahin hone diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.