humne mana abhi andhera hai
ham ne maanā abhī añdherā hai
paas lekin bahut saverā hai
mail dil meñ koī nahīñ rakhnā
dil meñ rab kā agar baserā hai
chhīn letā hai saath apnoñ kā
vaqt vo be-raham luTerā hai
sab musāfir haiñ ek manzil ke
ye jahāñ terā hai na merā hai
hum ne mana abhi andhera hai
pas lekin bahut sawera hai
mail dil mein koi nahin rakhna
dil mein rab ka agar basera hai
chhin leta hai sath apnon ka
waqt wo be-raham luTera hai
sab musafir hain ek manzil ke
ye jahan tera hai na mera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.