humne mohkam jinhen jaana wo sitare TuTe
ham ne mohkam jinheñ jaanā vo sitāre TuuTe
mauj sāhil se jo guzrī to kināre TuuTe
ahl-e-dil soch rahe haiñ ye baḌe karb ke saath
ham hī zanjīr hue dil bhī hamāre TuuTe
aaj har zehn meñ raushan meñ tafakkur ke charāġh
dil vo sho.ala hai ki jis se ye sharāre TuuTe
aap ne jin pe nazar kī vahī zarre chamke
ham jinheñ dekh rahe the vo sitāre TuuTe
hum ne mohkam jinhen jaana wo sitare TuTe
mauj sahil se jo guzri to kinare TuTe
ahl-e-dil soch rahe hain ye baDe karb ke sath
hum hi zanjir hue dil bhi hamare TuTe
aaj har zehn mein raushan mein tafakkur ke charagh
dil wo shoala hai ki jis se ye sharare TuTe
aap ne jin pe nazar ki wahi zarre chamke
hum jinhen dekh rahe the wo sitare TuTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.