humne sab kuchh luTa ke dekh liya
ham ne sab kuchh luTā ke dekh liyā
aap se dil lagā ke dekh liyā
dil kī buniyād ḳhud hilā Daalī
us ko nazreñ bachā ke dekh liyā
shāyad ab baat kuchh baḌhe aage
us ne bhī muskurā ke dekh liyā
mujh ko jin se vafā kī thī ummīd
un ko bhī aazmā ke dekh liyā
pattharoñ ne bhī sar nahīñ chūmā
us ke kūche meñ jā ke dekh liyā
barq kā ḳhauf kyoñ satātā hai
āshiyāna banā ke dekh liyā
kuchh dinoñ meñ chalan se bāhar thā
apnā sikka chalā ke dekh liyā
vajh-e-barakat hai rizq-e-pākīza
paak luqma uThā ke dekh liyā
phir bhī chhoTe rahe hazāroñ se
apne qad ko baḌhā ke dekh liyā
sar na jhuknā thā merā sar na jhukā
mujh ko suulī chaḌhā ke dekh liyā
hum ne sab kuchh luTa ke dekh liya
aap se dil laga ke dekh liya
dil ki buniyaad KHud hila Dali
us ko nazren bacha ke dekh liya
shayad ab baat kuchh baDhe aage
us ne bhi muskura ke dekh liya
mujh ko jin se wafa ki thi ummid
un ko bhi aazma ke dekh liya
pattharon ne bhi sar nahin chuma
us ke kuche mein ja ke dekh liya
barq ka KHauf kyon satata hai
aashiyana bana ke dekh liya
kuchh dinon mein chalan se bahar tha
apna sikka chala ke dekh liya
wajh-e-barakat hai rizq-e-pakiza
pak luqma uTha ke dekh liya
phir bhi chhoTe rahe hazaron se
apne qad ko baDha ke dekh liya
sar na jhukna tha mera sar na jhuka
mujh ko suli chaDha ke dekh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.