humne sau sau tarah banai baat
ham ne sau sau tarah banā.ī baat
sāmne us ke ban na aa.ī baat
sach to kahtā hai dost dushman hai
ham ne nāseh kī āzmā.ī baat
baat ke kāTne kā shikva kyā
ho jahāñ qat.a āshnā.ī baat
va.ade par us se kyuuñ qasam māñge
muft bigḌī banī banā.ī baat
ham ko dushman se ho ga.ī ma.alūm
dost ne ham se jo chhupā.ī baat
kyā shab-e-vasl ko ghaTānā hai
ġham hijrāñ kī kyuuñ baḌhā.ī baat
ye bhī un ke dahan kī ḳhūbī hai
ki samajh meñ mirī na aa.ī baat
shahr se kyuuñ kareñ vo azm-e-safar
ham-nashīñ tū ne kyā uḌaa.ī baat
vaañ se jā kar ḳhabar nahīñ laayā
hai kahīñ kī sunī sunā.ī baat
bhed apnoñ se bhī na kah 'nāzim'
muñh se niklī huī parā.ī baat
hum ne sau sau tarah banai baat
samne us ke ban na aai baat
sach to kahta hai dost dushman hai
hum ne naseh ki aazmai baat
baat ke kaTne ka shikwa kya
ho jahan qata aashnai baat
wade par us se kyun qasam mange
muft bigDi bani banai baat
hum ko dushman se ho gai malum
dost ne hum se jo chhupai baat
kya shab-e-wasl ko ghaTana hai
gham hijran ki kyun baDhai baat
ye bhi un ke dahan ki KHubi hai
ki samajh mein meri na aai baat
shahr se kyun karen wo azm-e-safar
ham-nashin tu ne kya uDai baat
wan se ja kar KHabar nahin laya
hai kahin ki suni sunai baat
bhed apnon se bhi na kah 'nazim'
munh se nikli hui parai baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.