humne sikha hai mohabbat karna
ham ne sīkhā hai mohabbat karnā
ek ik dil pe hukūmat karnā
ham bhī tārīḳh badal sakte haiñ
shart hai himmat-o-jur.at karnā
zeb detā nahīñ insānoñ ko
kisī insāñ kī ibādat karnā
rakh ke ḳhud apnī zarūrat ko udhār
puurī auroñ kī zarūrat karnā
shab kī tārīkī meñ sīkhā ham ne
chāñd tāroñ kī tilāvat karnā
āḳhirī saañs talak jīvan kī
mard kī shaan hai mehnat karnā
farz se haj ke hai afzal 'hāfiz'
būḌhe māñ-bāp kī ḳhidmat karnā
hum ne sikha hai mohabbat karna
ek ek dil pe hukumat karna
hum bhi tariKH badal sakte hain
shart hai himmat-o-jurat karna
zeb deta nahin insanon ko
kisi insan ki ibaadat karna
rakh ke KHud apni zarurat ko udhaar
puri auron ki zarurat karna
shab ki tariki mein sikha hum ne
chand taron ki tilawat karna
aaKHiri sans talak jiwan ki
mard ki shan hai mehnat karna
farz se haj ke hai afzal 'hafiz'
buDhe man-bap ki KHidmat karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.