humne to is ishq mein yaro khinche hain aazar bahut
ham ne to is ishq meñ yaaro khīñche haiñ āzār bahut
tum kuchh us kī baat karo hai jis se tum ko pyaar bahut
log ham aise nā-dānoñ ko ā.eñge samjhāne bhī
terā ġham phir terā ġham hai ġham hai to ġham-ḳhvār bahut
aa.e mausam-e-gul dekheñ vo kis kis ko zanjīr kareñ
ab ke sunā hai ahl-e-chaman bhī baiThe haiñ bezār bahut
in ko behis jaan na saaqī avval-e-shab hai bāda-nosh
raat Dhale mahsūs kareñge shīshe kī jhankār bahut
apnā apnā husn-e-nazar hai apnī apnī manzil hai
shart mayassar aatā hai to sāya-e-zulf-e-yār bahut
hum ne to is ishq mein yaro khinche hain aazar bahut
tum kuchh us ki baat karo hai jis se tum ko pyar bahut
log hum aise na-danon ko aaenge samjhane bhi
tera gham phir tera gham hai gham hai to gham-KHwar bahut
aae mausam-e-gul dekhen wo kis kis ko zanjir karen
ab ke suna hai ahl-e-chaman bhi baiThe hain bezar bahut
in ko behis jaan na saqi awwal-e-shab hai baada-nosh
raat Dhale mahsus karenge shishe ki jhankar bahut
apna apna husn-e-nazar hai apni apni manzil hai
shart mayassar aata hai to saya-e-zulf-e-yar bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.