hum par jitne war hue bharpur hue
ham par jitne vaar hue bharpūr hue
ham se pūchho kaise chaknāchūr hue
sanjīda logoñ kā jiinā mushkil hai
khel tamāshe duniyā kā dastūr hue
merī nazar meñ jaise pahle the ab ho
kaun sī daulat pā kar tum maġhrūr hue
ye to gulistānoñ meñ roz ke qisse haiñ
phuul khile khil kar shāḳhoñ se duur hue
ham ne 'shakīl' ik chhoTī sī nādānī se
shohrat paa.ī ḳhuub bahut mash.hūr hue
hum par jitne war hue bharpur hue
hum se puchho kaise chaknachur hue
sanjida logon ka jina mushkil hai
khel tamashe duniya ka dastur hue
meri nazar mein jaise pahle the ab ho
kaun si daulat pa kar tum maghrur hue
ye to gulistanon mein roz ke qisse hain
phul khile khil kar shaKHon se dur hue
hum ne 'shakil' ek chhoTi si nadani se
shohrat pai KHub bahut mashhur hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.