hum pareshan hain teri is zulf bikhrane ke hat
ham pareshāñ haiñ tirī is zulf bikhrāne ke haat
roz-o-shab taḌpe haiñ zālim is ke bal khāne ke haat
sāqī-e-be-mehr gandum rang ke joroñ se hī
pis gayā hai jān-o-dil to haa.e paimāne ke haat
bū agar aave to yaaro kījiyo tum ham ko yaad
sar paTak kar mar ga.e afsos maiḳhāne ke haat
ye na samjhe the ki ab ke aish sab jāvegā aah
ho ga.e be-ḳhānumāñ ham to bahār aane ke haat
kyoñ parastish se sanam kī baaz aave 'imtiyāz'
zāhidā ham bik chuke haiñ ab to but-ḳhāne ke haat
hum pareshan hain teri is zulf bikhrane ke hat
roz-o-shab taDpe hain zalim is ke bal khane ke hat
saqi-e-be-mehr gandum rang ke joron se hi
pis gaya hai jaan-o-dil to hae paimane ke hat
bu agar aawe to yaro kijiyo tum hum ko yaad
sar paTak kar mar gae afsos maiKHane ke hat
ye na samjhe the ki ab ke aish sab jawega aah
ho gae be-KHanuman hum to bahaar aane ke hat
kyon parastish se sanam ki baz aawe 'imtiyaz'
zahida hum bik chuke hain ab to but-KHane ke hat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.