hum pariyon ke chahne wale KHwab mein dekhen pariyan
hum pariyon ke chahne wale KHwab mein dekhen pariyan
Hasan Abbas Raza
MORE BYHasan Abbas Raza
ham pariyoñ ke chāhne vaale ḳhvāb meñ dekheñ pariyāñ
duur se ruup kā sadqa bāñTeñ haath na aa.eñ pariyāñ
raah meñ haa.il qaaf pahāḌ aur haath charāġh se ḳhālī
kyūñkar jinnoñ ke changul se ham chhuḌvā.eñ pariyāñ
āshāoñ kī sohnī sajrī sej sajā.e rakkhūñ
jaane kaun ghaḌī mere ghar meñ aan barājeñ pariyāñ
saare shahr ko chāñdnī kī ḳhairāt us roz maiñ bāñTūñ
jis din ḳhvāhish ke āñgan meñ chham se utreñ pariyāñ
kachche gharoñ se ās-havelī jaane kī ḳhvāhish meñ
pahroñ ā.īne ke sāmne baiTh ke sañvareñ pariyāñ
pariyoñ kī tausīf meñ aise sher 'razā' maiñ likkhūñ
jin ko sun kar uḌtī aa.eñ jhūmeñ nācheñ pariyāñ
hum pariyon ke chahne wale KHwab mein dekhen pariyan
dur se rup ka sadqa banTen hath na aaen pariyan
rah mein hail qaf pahaD aur hath charagh se KHali
kyunkar jinnon ke changul se hum chhuDwaen pariyan
aashaon ki sohni sajri sej sajae rakkhun
jaane kaun ghaDi mere ghar mein aan barajen pariyan
sare shahr ko chandni ki KHairaat us roz main banTun
jis din KHwahish ke aangan mein chham se utren pariyan
kachche gharon se aas-haweli jaane ki KHwahish mein
pahron aaine ke samne baiTh ke sanwaren pariyan
pariyon ki tausif mein aise sher 'raza' main likkhun
jin ko sun kar uDti aaen jhumen nachen pariyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.