hum raaz-e-giraftari-e-dil jaan gae hain
ham rāz-e-giraftāri-e-dil jaan ga.e haiñ
phir bhī tirī āñkhoñ kā kahā maan ga.e haiñ
tū shola-e-jāñ nik.hat-e-ġham saut-e-talab hai
ham jān-e-tamannā tujhe pahchān ga.e haiñ
kyā kyā na tire shauq meñ TuuTe haiñ yahāñ kufr
kyā kyā na tirī raah meñ īmān ga.e haiñ
is raqs meñ shole ke koī sehr to hogā
parvāne baḌī aan se qurbān ga.e haiñ
khīñche hai mujhe dast-e-junūñ dasht-e-talab meñ
dāman jo bachā.e haiñ garebān ga.e haiñ
'bāqar' hai isī gard-e-rah-e-dil kā parastār
jis raah se kuchh sāhab-e-dīvān ga.e haiñ
hum raaz-e-giraftari-e-dil jaan gae hain
phir bhi teri aankhon ka kaha man gae hain
tu shola-e-jaan nikhat-e-gham saut-e-talab hai
hum jaan-e-tamanna tujhe pahchan gae hain
kya kya na tere shauq mein TuTe hain yahan kufr
kya kya na teri rah mein iman gae hain
is raqs mein shole ke koi sehr to hoga
parwane baDi aan se qurban gae hain
khinche hai mujhe dast-e-junun dasht-e-talab mein
daman jo bachae hain gareban gae hain
'baqar' hai isi gard-e-rah-e-dil ka parastar
jis rah se kuchh sahab-e-diwan gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.