hum rahe par nahin rahe aabaad
ham rahe par nahīñ rahe ābād
yaad ke ghar nahīñ rahe ābād
kitnī āñkheñ huiiñ halāk-e-nazar
kitne manzar nahīñ rahe ābād
ham ki ai dil-suḳhan the sar-tā-pā
ham laboñ par nahīñ rahe ābād
shahr-e-dil meñ ajab mohalle the
un meñ aksar nahīñ rahe ābād
jaane kyā vāqi.a huā kyuuñ log
apne andar nahīñ rahe ābād
hum rahe par nahin rahe aabaad
yaad ke ghar nahin rahe aabaad
kitni aankhen huin halak-e-nazar
kitne manzar nahin rahe aabaad
hum ki ai dil-suKHan the sar-ta-pa
hum labon par nahin rahe aabaad
shahr-e-dil mein ajab mohalle the
un mein aksar nahin rahe aabaad
jaane kya waqia hua kyun log
apne andar nahin rahe aabaad
- Shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.