hum rahe yan talak tere gham mein
hum rahe yan talak tere gham mein
Meer Muzaffar Husain Zameer
MORE BYMeer Muzaffar Husain Zameer
ham rahe yaañ talak tire ġham meñ
ki tirā ġham samā gayā ham meñ
kyoñ na ho ishq-e-husn-e-gandum-gūñ
maiñ bhī āḳhir huuñ nasl-e-ādam meñ
hai araq meñ bhī us ke nik.hat-e-itr
gul kī bū aa ga.ī hai shabnam meñ
mere ashkoñ ke rū-ba-rū dariyā
hai baḌā farq qatra-o-yam meñ
jaisā jām-e-jahāñ-numā hai dil
sair vo kab hai sāġhar-e-jam meñ
dil kā nāsūr dil ke saath chalā
kiye marham talāsh marham meñ
jo phañsā phir kabhī rihā na huā
hai yahī pech zulf ke ḳham meñ
naza.a ke vaqt bhī fareb rahā
vo jo aayā dam aa gayā dam meñ
us meñ bīm-e-halāk is meñ halāk
hai yahī farq ham meñ aur ġham meñ
sham.a se raat ye kahā maiñ ne
kah tū rotī hai kis ke mātam meñ
bolī ai faḳhr-e-āshiqān-e-jahāñ
kyā kahūñ maiñ ki dam nahīñ dam meñ
ho gayā ḳhaak jal ke parvāna
rahī maiñ aah bazm-e-ālam meñ
shab jo ik dost apnā ya.anī dil
phañs gayā us kī zulf-e-pur-ḳham meñ
apnā kuchh bas na chal sakā lekin
ashk bhar aa.e chashm-e-pur-nam meñ
tū charāġh-e-mazār-e-ġhair rahā
ham ghule sham.a-sāñ tire ġham meñ
hum rahe yan talak tere gham mein
ki tera gham sama gaya hum mein
kyon na ho ishq-e-husn-e-gandum-gun
main bhi aaKHir hun nasl-e-adam mein
hai araq mein bhi us ke nikhat-e-itr
gul ki bu aa gai hai shabnam mein
mere ashkon ke ru-ba-ru dariya
hai baDa farq qatra-o-yam mein
jaisa jam-e-jahan-numa hai dil
sair wo kab hai saghar-e-jam mein
dil ka nasur dil ke sath chala
kiye marham talash marham mein
jo phansa phir kabhi riha na hua
hai yahi pech zulf ke KHam mein
naza ke waqt bhi fareb raha
wo jo aaya dam aa gaya dam mein
us mein bim-e-halak is mein halak
hai yahi farq hum mein aur gham mein
shama se raat ye kaha main ne
kah tu roti hai kis ke matam mein
boli ai faKHr-e-ashiqan-e-jahan
kya kahun main ki dam nahin dam mein
ho gaya KHak jal ke parwana
rahi main aah bazm-e-alam mein
shab jo ek dost apna yani dil
phans gaya us ki zulf-e-pur-KHam mein
apna kuchh bas na chal saka lekin
ashk bhar aae chashm-e-pur-nam mein
tu charagh-e-mazar-e-ghair raha
hum ghule shama-san tere gham mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.