ham-rahi ki baat mat kar imtihan ho jaega
ham-rahī kī baat mat kar imtihāñ ho jā.egā
ham subuk ho jā.eñge tujh ko girāñ ho jā.egā
jab bahār aa kar guzar jā.egī ai sarv-e-bahār
ek rang apnā bhī paivand-e-ḳhizāñ ho jā.egā
sā.at-e-tark-e-tavaqqo bhī qarīb aa hī ga.ī
kyā ye apnā sab ta'alluq rā.egāñ ho jā.egā
ye havā saare charāġhoñ ko uḌā le jā.egī
raat Dhalne tak yahāñ sab kuchh dhuāñ ho jā.egā
shāḳh-e-dil phir se harī hone lagī dekho 'nasīr'
aisā lagtā hai kisī kā āshiyāñ ho jā.egā
ham-rahi ki baat mat kar imtihan ho jaega
hum subuk ho jaenge tujh ko giran ho jaega
jab bahaar aa kar guzar jaegi ai sarw-e-bahaar
ek rang apna bhi paiwand-e-KHizan ho jaega
saat-e-tark-e-tawaqqo bhi qarib aa hi gai
kya ye apna sab ta'alluq raegan ho jaega
ye hawa sare charaghon ko uDa le jaegi
raat Dhalne tak yahan sab kuchh dhuan ho jaega
shaKH-e-dil phir se hari hone lagi dekho 'nasir'
aisa lagta hai kisi ka aashiyan ho jaega
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 348)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.