hum rashk ko apne bhi gawara nahin karte
ham rashk ko apne bhī gavārā nahīñ karte
marte haiñ vale un kī tamannā nahīñ karte
dar-parda unheñ ġhair se hai rabt-e-nihānī
zāhir kā ye parda hai ki parda nahīñ karte
ye bā.is-e-naumīdi-e-arbāb-e-havas hai
'ġhālib' ko burā kahte haiñ achchhā nahīñ karte
hum rashk ko apne bhi gawara nahin karte
marte hain wale un ki tamanna nahin karte
dar-parda unhen ghair se hai rabt-e-nihani
zahir ka ye parda hai ki parda nahin karte
ye bais-e-naumidi-e-arbab-e-hawas hai
'ghaalib' ko bura kahte hain achchha nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.