hum sada hi aise the ki yun hi pazirai
ham saada hī aise the kī yuuñ hī pazīrā.ī
jis baar ḳhizāñ aa.ī samjhe ki bahār aa.ī
āshob-e-nazar se kī ham ne chaman-ārā.ī
jo shai bhī nazar aa.ī gul-rañg nazar aa.ī
ummīd-e-talattuf meñ ranjīda rahe donoñ
tū aur tirī mahfil maiñ aur mirī tanhā.ī
yak jaan na ho sakiye anjān na ban sakiye
yuuñ TuuT ga.ī dil meñ shamshīr-e-shanāsā.ī
us tan kī taraf dekho jo qatl-gah-e-dil hai
kyā rakkhā hai maqtal meñ ai chashm-e-tamāshā.ī
hum sada hi aise the ki yun hi pazirai
jis bar KHizan aai samjhe ki bahaar aai
aashob-e-nazar se ki hum ne chaman-arai
jo shai bhi nazar aai gul-rang nazar aai
ummid-e-talattuf mein ranjida rahe donon
tu aur teri mahfil main aur meri tanhai
yak jaan na ho sakiye anjaan na ban sakiye
yun TuT gai dil mein shamshir-e-shanasai
us tan ki taraf dekho jo qatl-gah-e-dil hai
kya rakkha hai maqtal mein ai chashm-e-tamashai
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 463)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.