ham-safar ban ke agar sath bhanwar jaenge
ham-safar ban ke agar saath bhañvar jā.eñge
nāḳhudā ham tirī kashtī se utar jā.eñge
DhūñD ke laao unheñ jo ye kahā karte the
vaqt ke saath ye hālāt sudhar jā.eñge
jin ko kashtī meñ biThāyā thā tavāzun ke liye
ab ye kahte haiñ ki raste meñ utar jā.eñge
āzmāne meñ koī harj nahīñ duniyā ko
haa.e kuchh log magar dil se utar jā.eñge
donoñ lāshoñ kī hathelī pe yahī misrā thā
dekhnā ishq meñ ham had se guzar jā.eñge
kyā banegā mire shānoñ ke farishtoñ kā 'sarosh'
maiñ to mar jā.ūñgā ye donoñ kidhar jā.eñge
ham-safar ban ke agar sath bhanwar jaenge
naKHuda hum teri kashti se utar jaenge
DhunD ke lao unhen jo ye kaha karte the
waqt ke sath ye haalat sudhar jaenge
jin ko kashti mein biThaya tha tawazun ke liye
ab ye kahte hain ki raste mein utar jaenge
aazmane mein koi harj nahin duniya ko
hae kuchh log magar dil se utar jaenge
donon lashon ki hatheli pe yahi misra tha
dekhna ishq mein hum had se guzar jaenge
kya banega mere shanon ke farishton ka 'sarosh'
main to mar jaunga ye donon kidhar jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.