ham-safar ho ke bhi ek gam nahin chal sakte
ham-safar ho ke bhī ik gaam nahīñ chal sakte
ham tire saath sar-e-ām nahīñ chal sakte
din meñ phir lete haiñ par yaad kī shiddat ke sabab
ham junūñ vaale sar-e-shām nahīñ chal sakte
aarzū merī bhī hai saath chalūñ tere magar
itne mahñge haiñ tire daam nahīñ chal sakte
saath chalne se manā us ne kiyā thā ik roz
aaj ham ne kahā mādām nahīñ chal sakte
ishq bhī tum se karūñ aur paḌhā.ī bhī karūñ
ek hī saath meñ do kaam nahīñ chal sakte
aap ḳhush-fikr haiñ ḳhush-rang bhī ḳhush-nām bhī haiñ
par kamā.ī meñ haiñ nā-kām nahīñ chal sakte
ham-safar ho ke bhi ek gam nahin chal sakte
hum tere sath sar-e-am nahin chal sakte
din mein phir lete hain par yaad ki shiddat ke sabab
hum junun wale sar-e-sham nahin chal sakte
aarzu meri bhi hai sath chalun tere magar
itne mahnge hain tere dam nahin chal sakte
sath chalne se mana us ne kiya tha ek roz
aaj hum ne kaha madam nahin chal sakte
ishq bhi tum se karun aur paDhai bhi karun
ek hi sath mein do kaam nahin chal sakte
aap KHush-fikr hain KHush-rang bhi KHush-nam bhi hain
par kamai mein hain na-kaam nahin chal sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.