ham-safar ho to ek kaam karo
ham-safar ho to ek kaam karo
guftugū ke binā kalām karo
palkeñ kab tak rukū meñ rakhoge
husn kā vāsta qayām karo
ek pal āñkheñ chaar kar ke mujhe
umr bhar ke liye ġhulām karo
lailā banñe se na karo inkār
pyaar chāhe barā.e-nām karo
us kā sūraj ġhurūb hotā nahīñ
husn kī mamlikat meñ shaam karo
gesū-e-yār se guzārish hai
bādaloñ kā to ehtirām karo
pyaar har diin kā ḳhulāsa hai
jis qadar ho sake ye aam karo
umr bhar jism bāzgasht sune
uñgliyoñ se kabhī kalām karo
dil ke andar se koī kahtā hai
husn vāloñ kā ehtirām karo
jaane kis kā javāb sun le ḳhudā
'qais' har shaḳhs ko salām karo
ham-safar ho to ek kaam karo
guftugu ke bina kalam karo
palken kab tak ruku mein rakhoge
husn ka wasta qayam karo
ek pal aankhen chaar kar ke mujhe
umr bhar ke liye ghulam karo
laila banne se na karo inkar
pyar chahe barae-nam karo
us ka suraj ghurub hota nahin
husn ki mamlikat mein sham karo
gesu-e-yar se guzarish hai
baadalon ka to ehtiram karo
pyar har din ka KHulasa hai
jis qadar ho sake ye aam karo
umr bhar jism bazgasht sune
ungliyon se kabhi kalam karo
dil ke andar se koi kahta hai
husn walon ka ehtiram karo
jaane kis ka jawab sun le KHuda
'qais' har shaKHs ko salam karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.