ham-safar hota koi to banT lete duriyan
ham-safar hotā koī to baañT lete dūriyāñ
raah chalte log kyā samjheñ mirī majbūriyāñ
muskurāte ḳhvāb chuntī gungunātī ye nazar
kis tarah samjheñ mirī qismat kī nā-manzūriyāñ
hādsoñ kī bhiiḌ hai chaltā huā ye kārvāñ
zindagī kā naam hai lāchāriyāñ majbūriyāñ
phir kisī ne aaj chheḌā zikr-e-manzil is tarah
dil ke dāman se lipaTne aa ga.ī haiñ dūriyāñ
ham-safar hota koi to banT lete duriyan
rah chalte log kya samjhen meri majburiyan
muskuraate KHwab chunti gungunati ye nazar
kis tarah samjhen meri qismat ki na-manzuriyan
hadson ki bhiD hai chalta hua ye karwan
zindagi ka nam hai lachaariyan majburiyan
phir kisi ne aaj chheDa zikr-e-manzil is tarah
dil ke daman se lipaTne aa gai hain duriyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.