Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

humse ab rah pe aane wale

Masood Qureshi

humse ab rah pe aane wale

Masood Qureshi

MORE BYMasood Qureshi

    ham se ab raah pe aane vaale

    rah ga.e raah dikhāne vaale

    ham ne lo un sahārā chhoḌā

    ab sambhāleñ bhī zamāne vaale

    phir vahī dost vahī fursat-e-ġham

    aa ga.e duur purāne vaale

    ab hai āsūdgī-e-marg-e-davām

    uTh ga.e hashr uThāne vaale

    lo vahī shaah bane baiThe haiñ

    ham ko shāhoñ se laḌāne vaale

    hum se ab rah pe aane wale

    rah gae rah dikhane wale

    hum ne lo un ka sahaara chhoDa

    ab sambhaalen bhi zamane wale

    phir wahi dost wahi fursat-e-gham

    aa gae dur purane wale

    ab hai aasudgi-e-marg-e-dawam

    uTh gae hashr uThane wale

    lo wahi shah bane baiThe hain

    hum ko shahon se laDane wale

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now