humse bhali chaal chali chandni
ham se bhalī chaal chalī chāñdnī
so.e to luk-chhup ke Talī chāñdnī
aise bhī kuchh log mile shahr meñ
jidhar chale saath chalī chāñdnī
apne muñDere bhī kabhī aa.iyo
vo hai faqīroñ kī galī chāñdnī
ghulā milā rañg pahelī huā
nipaT añdheroñ meñ palī chāñdnī
hameñ to kuchh aise phabā gehuvāñ
muft milī muft na lī chāñdnī
tū hai agar chāñd bhī hogā yahīñ
Doliyo mat galī galī chāñdnī
sub.h talak phuul baraste rahe
rotī phirī kalī kalī chāñdnī
hum se bhali chaal chali chandni
soe to luk-chhup ke Tali chandni
aise bhi kuchh log mile shahr mein
jidhar chale sath chali chandni
apne munDere bhi kabhi aaiyo
wo hai faqiron ki gali chandni
ghula mila rang paheli hua
nipaT andheron mein pali chandni
hamein to kuchh aise phaba gehuwan
muft mili muft na li chandni
tu hai agar chand bhi hoga yahin
Doliyo mat gali gali chandni
subh talak phul baraste rahe
roti phiri kali kali chandni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.